Part Time Income karne ke Trusted Tarike
#1: Tuition
Agar aapko kisi chij ka knowlage hai to aap iski tution dekar paise kama sakte hai.. aapne dekha hoga bhut log 1-2 ghante ki tuition dekar achi earning kar rahe hai..
Aap Online Teaching (Padha) karke Paise kama sakte hai, uski jankari yaha hai.
#2: Blogging
Agar aapko likhne ka sock hai or aap ka kisi topic me Interest hai to aap Blogging karke paise bhi kama sakte hai..
Blogging karne ke liye aapko Blog banana hoga, or uspar Article Publish karne hoge.. or site par ads lagane hoge..
uske baad agar aapke website ko koi open karege.. to un ads se aapki earning hogi..
Blogging ki puri jankari aapko HMH.pe mil jayegi.. jisme sabhi steps ke ware me bataya hai.
Website Kaise Banaye in Hindi
#3: Youtube
Youtube ke ware me to aapko pata ho hoga, jaha log Video dalte hai or usse earning bhi karte hai.
Iske liye aapki kisi topic par Channel bana kar Video upload karne hoge.. or uspar bhi jitne jada Video aapke aayege utni jada earning aapki hogi..
Youtube Se Paise Kaise Kamaye Video Banakar in Hindi
YouTube Se Paise Kaise Kamaye? Top Tarike
#4: Affiliate Marketing
Ye bhi ek best tarika hai paise kamane ka, jisme aapko Product Sell karana hai.. to aapko uska commission milega.
Simple isme aapko Flipkart, Amazon jesi website par apna affiliate account open karna hai.. uske baad aapko Product ki jo Affiliate link milegi wo aapko unn logo se share karna hai jo uss product ko kharide..
Affiliate Link par koi bhi click karke agar uss product ko kharidte hai to uska 3-10% tak commission milta hai.
Affiliate Marketing Kya Hai
Amazon Affiliate Se Jyada Earning Kaise Kare
Flipkart App Download kara kar Paise Kaise kamaye
#5: Old Product Buy/Sell
Saman ko kharid or Bech kar bhi acha paisa kamaya ja sakta hai.. iske liye Online Kuch Website bhi hai.. Jese OLX or Quickr jinpar aap purana saman kharid sakte ho kam kimat me.. or apna purana samaj bech bhi sakte ho.
To aap in sites ka use karke kisi se purana saman kharid kar usko thodi jada kimat me sell karke paise kama sakte hai.
OLX or QUIKR se Paise kaise Kamaye uski puri jankari yaha di hui hai..
#7: Fiverr
Fiverr ek website hai, jispar log $5 dekar apna kaam karate hai.. to aap apna waha seller ka account bana kar logo se order lekar unka kaam karke bhi paise kama sakte hai.
Fiverr Kya hai, Fiverr se paise kaise kamaye in Hindi
Fiverr Gig Se Jada Earning Kaise Kare
#8: Photograph Sell
Agar aapko Photo khichna pasand hai or aapke Pass DSLR ya acha camera wala Phone hai to aap badiya Photo Kich kar unko bhi sell karke paise kama sakte hai.
Online bhut si badiya website hai jaha aap apne khiche hue photo sell kar sakte hai.. jinme se ek hai Shutterstock,
#9: Data Entry
Ye kaam bhi badiya hai, jisme aapko typing karke data entry karna hai..
iske liye aap apne aas pass ke coaching canter ya company se contant karke kaam le sakte hai.. q ki unke pass bhut sara data hota hai, jisko type karna rheta hai.
Data Entry ke liye online bhi websites hai, jinme se ek Trusted or Popular website hai UpWork, jaha se aap Data Entry ka Work lekar paise kama sakte hai.
Thanks...